Tuesday, February 10, 2009

Mayri dairy

Nibouyon ki taddaad, Imam Hambel rwh(Rehmatullah Wa Elaihay) ki nazer main.


Musnad-e-Ahmed Bin Hambel Rwh(Rehmatullah Wa Elaihay). main aik Hadees hai (mafhoom)

“Rasool e akram swm (Sallalaho Elaihay Wasallam) farmaty hain ky allah ny Hazrat Adam Elaihay Wasalam sy ly kar mujh tak 124000 (Aik laakh choubees hazaar) paighamber bhajy jin main say 315(teen sao pandrah) sahib-e-kitaab thay.


315 sahib-e-kitaab nabiyon ky naam na to quran main hain na ahadees main in ka zekar hai lehaza hamaray liye ye mumkin nahain ky in ki tafseel maloom kar sakain siraf chand ishaary miltay hain ky Adam Elaihay Wasalam per 10 (Das) sahefay nazel howay thay laikin ye hamare badd naseebi hyky hamain ye bhi maloom nahain wo kis zaban main thay.


Hazrat Adam Elaihay Wasalam kay baitay Hazarat Shees Elaihay Wasalam paighamber thay in kay mutalik baz riwayat main zikar milta hai ky in par bhi chand kitaabain nazel hoi thein.laiken in ka bhi ab duniyan main koi wajood nahain. qadeem tareen nabi jin ki taraf mansoob kitab ka kuch hessa abhi kuch arsa phaly daryaft howa ya yun kahain mila wo Hazart Idrees Elaihay Wasalam hain.

yeh kitab Falisteen (Palestine) main Behr-e-Murdaar ky paas aik ghaar sy mili. wahan baz gharoon main kuch makhtotay milay hain, in makhtoton main sy yeh kitaab mili. iss kitab ka angraizy (English) main tarjuma bhi chap chuka hy.


Hazrat Idrees Elaihay Wasalm ky bad hamain Hazrat Noah Elaihay Wasalam ky muttalliq bhi kuch ishary miltay hain.


Iraq main "saabiyah" ky naam sy aik geroh paya jata hy, jiska aik mustakil deen hy, inka dawa hyky hum Hazrat Noah Elaihay Wasalam ki kitab aur inkay deen per amelpairah hain. inka kehna hyky aik zamanain main Hazrat Noah Elaihay Wasalam ki pori kitab hamary paas thee, laiken imtaddad-ezamana ky sabab sy woh ab napaid hy. issky mundarjaat sahifay 3-5 satroon main hamary paas maujood hain, jinmain ikhlaaq ki taleem di gaye hy.


Issky baad aik aur nabi aye hai, jinka zikar Quran Shareef main hy, woh Hazrat Ibrahim Elaihay Wasalam hain. "Sahf-e-ibraheem wa moosa" 2 martaba Quran Majeed main inka zikar aya hy. isstarha aik shakhsiyat Zardesht ki hy, parsi inhain apna nabi mantey hain. inki naboyat ka imkaan iss bina per bhi hy ky Quran Majeed main Majoos qaum ka zikar aya hy.


Majoosiyon ka mazheb Zardesht ki laaiye hoyee kitab "Austah" per mubni hy.
Ausatah ky mutaaliq kuch maloomat humtak pahonchi hain, jab hum isska Quran sy mawazna kerty hain to maloom hota hy ky kisko kia bartary hasil hy. Zardesht ki kitaab iss waqt ki "Zend" zaban main thei.


kcuh ersa baad Iran per dosri qaumoon ka ghalba hoya aur naye fateheen ki zabaan wahan raij hoye. Nateeja yeh hoya ky mulk bher main mutthi bher aalim ky siwa "Zend" zabaan jannain wala koe na tha. aaj kal hamary paas iss nuskhay ka sirf daswan hissah maujood hy, baqi ghayab ho chuka hy.


Hindustan main bhi kuch deenien kitabain paye jaty hain, hindoun ka akeedah hy ky yeh khuda ki ilhaam shudah kitabain hain. in mukkaddas kitabon main Veid, Paraan, Ehnashd aur dosri kitabain shamil hain. yeh kehna mushkil hy ky sabhi kitabain aik hi nabi per nazil hoye hain, ya mumkin hy mutaaded nabiyoun per nazil hoye hon. Bashertay ky woh nabi hon. in main bhi khasoossan "Paran" nami kitab main kuch dilchasp isharay miltay hain, "Paran" wohi lafz hy jo urdu main purana yanee kadeem hy.


Hazrat Moosa Elaihay Wasalam per jo kitab nazil hoye, woh Tauraat kahi jaty hy, Tauraat ky maeny hain Qanoon, Yahoodi (Jews) Hazrat Moosa Elaihay Wasalam ki taraf 5 kitabain mansoob kertay hain, pehli kitaab “Kitab-e-Paidaish” kehlaty hy, dosri kitab “Kitab-e-Kharooj” kehlaty hy, jo misr (Egypt) sy nikalnain ky halat per mushtamil hy, tisri kitab “Qanoon” aur chauthi kitab ”Aaddad wa Shumaar” hy kiyon ky Hazrat Moosa Elaihay Wasalam nain hukam dia tha ky Yahoodiyon ki kabeelay war mardem shumari kijaye, panchwein kitab “Tassiyah” ky naam sy mausoom hy, jisky maenein hain, porani cheezon ko dubarah duhraya jaye ya inki tashreeh ki jaye. Hazrat Moosa Elaihay Waslam ki taraf mansoob paanch kitabain, yeh kitabain 3 ya 4 martaba aatishzadgi ky baad aiyadah shudah shaklein hain, inka aiyadah kis tarha hoya aur kisnain kia issky mutaaliq hamain koe ilam nahein, albatta inko ab perhnain ky baad ehsaas hota hyky baaz jagah kami ki gaye hy aur baaz jagah barhaya gaya hy.

Zaboor.

Zaboor ko Hazrat Dawood Elaihay Waslam ki taraf mansoob hai.

Angeel Hazrat Essa Elaihay Waslam per nazel hoi .lakin hamary pas essayun (christens) ky tawasatt say jo Angeel pohanchi hai woh aik nahain balky 4 angeelain hain jo ye hain

1. Matthe

2. Mark

3. Luka

4. John


Angeel kay mayena hai khush khabari.

Har angeel ak alag admi ki taraf mansoob pai jati hai balky essayun ky mutabek 70 say Ziyada Angeelain pai jati hain jen main ham ny 4 ko kabil e etmad paya asliye baqi ko mushtaba kerar diya gaya in kitaboon ko parhny say ye maloom hota hai kay ye wahe par mushtamel nahain balky Hazrat Essa Elaihay Waslam ki sawany umarian hain.laikin jo angeel Hazrat Essa Elaihay Waslam par wahi kay zareye nazel hoi us ko unhon ny lekhwaya nahain.

Poray Quran main 30 saal ki mudat tak ahesta ahesta say Aap (Sallalaho Elaihay Wasallam) par nazeel hawa as ka aghaz 609 esawei (A.D) main howa jagha gareey herra hai.


Hazrat Abu Bakker Siddiq Raziallaho Taallah Unho ky waqt main Quran jama kiya gaya, jama Hazrat Zaid Bin Sabet Raziallaho Taallah Unho ny khud kiya jo hafiz e Quran thay, Quran ka ye nuskha Hazrat Abu Bakker Siddiq Raziallaho Taallah Unho ky pas raha, Hazrat Abu Bakker Siddiq Raziallaho Taallah Unho ki wafaat kay bad ye Hazrat Umar Raziallaho Taallah Unho kay pas raha unki wafaat kay bad ye Hazrat Umar Raziallaho Taallah Unho ki baeti Umol Momaneen Harat Hafza Raziallaho Taallah Unhum kay pas chala gaya .


Hazarat Usman Raziallaho Taallah Unho ky dor e khelafat main bhi ye nuskha Hazrat Hafza Raziallaho Taallah Unhum kay pas hi raha kiyun kay Hazrat Usman Raziallaho Taallah Unho khud hafiz-e-Quran thay aur un ko Jam e ul Quran bhi kaha jata hai .


Jame ul Quran kay ye mayena nahain kay unhon nay Quran jama kiya bulkay as kay mayena hai unhon nay musalmanoon ko aik Quran par jama kiya (jo logon main ekhlafaat paya jata tha) iss say inko bachany kaliye Makkah Moazamah kay talafuz waly quran ko unhon ny nafiz kiya aur kaha kay Rasool e Pak Sallalaho Elaihay Wasallam nay agar ye ejazat di thi kay mukhtalif qabail kay loog mukhtalif elfaaz ko mukhtalif andaaz main parh sakty hain to ab isski koi zaroorzt nahain rahi kiyon kay Makkah Moazamah ki arabi ab sari duniyan e islaam main raij ho chuki hai iss tarhan Hazrat Usman Raziallaho Tallah Unho nay musalmanoo ko aik Quran par jama kiya,

Allah un ki rooh par apni barakat nazel farmai Ameen.

No comments:

Post a Comment